apne anjām se Dartā huuñ maiñ
dil dhaḌaktā hai ki sachchā huuñ maiñ
merā saaqī hai baḌā dariyā-dil
phir bhī pyāsā huuñ ki sahrā huuñ maiñ
aur kis ko ho mire zahr kī taab
apne hī aap ko Dastā huuñ maiñ
kyuuñ karūñ pairvi-e-gautam o qais
jab bhare ghar meñ bhī tanhā huuñ maiñ
thā vo kuchh ham se ziyāda hī marīz
jis kā daavā thā masīhā huuñ maiñ
kyā nahīñ hai koī mai hosh-gudāz
jitnī piitā huuñ sambhaltā huuñ maiñ