mujh pe tū mehrbān hai pyāre
ye bhī ik imtihān hai pyāre
ye tirā āstān jalva hai
mere dil kī bhī shaan hai pyāre
kaun kahtā hai bevafā tujh ko
kis ke muñh meñ zabān hai pyāre
āshiqī aur shikva-e-bedād
ye tujhe kyā gumān hai pyāre
tere kūche kā vaah kyā kahnā
ye zamīñ āsmān hai pyāre
hai fasāna agar jahāñ to ishq
is fasāne kī jaan hai pyāre
tū salāmat rahe tire dam se
dil kī duniyā javān hai pyāre
haa.e vo dāstān-e-ġham jis kī
ḳhāmushī tarjumān hai pyāre
dil kī betābiyoñ kā haal na pūchh
ek aafat meñ jaan hai pyāre
ham bhī urdu pe naaz karte haiñ
ye hamārī zabān hai pyāre