Gopal Mittal

jo shua-e-lab hai mauj-e-nau-bahaar-e-naghma hai

Gopal Mittal

Malerkotla, Punjab, India

1901-1993
jo shuā-e-lab hai mauj-e-nau-bahār-e-naġhma hai
ḳhāmushī bhī aap kī ā.īna-dār-e-naġhma hai
gosh ik muddat se mahrūm-e-samā.at hai magar
dil ajab nādāñ hai ab tak e'tibār-e-naġhma hai
farq ye hai nutq ke sāñche meñ Dhal saktā nahīñ
varna jo aañsū hai durr-e-shāh-vār-e-naġhma hai
munkir-e-sāz-e-masarrat huuñ to kāfir huuñ magar
ham-nafas mizrāb-e-ġham par inhisār-e-naġhma hai
ai ki shikva thā tujhe sañgīñ-mizājī kā mirī
dekh is patthar meñ bhī mauj-e-sharār-e-naġhma hai
Top Urdushayar.com