zabān raqs meñ hai aur jhūmtā huuñ maiñ
ki dāstān-e-mohabbat sunā rahā huuñ maiñ
na pūchh mujh se mirī be-ḳhudī kā afsāna
kisī kī mast-nigāhī kā mājrā huuñ maiñ
kahāñ kā zabt-e-mohabbat kahāñ kī tāsīreñ
tasalliyāñ dil-e-muztar ko de rahā huuñ maiñ
phir ek shola-e-pur-pech-o-tāb bhaḌkegā
ki chand tinkoñ ko tartīb de rahā huuñ maiñ
tumhāre ishq meñ miT kar tumheñ dikhā dūñgā
nigāh-e-nāz kā īmāñ samajh gayā huuñ maiñ