daur-e-falak ke shikve gile rozgār ke
haiñ mashġhale yahī dil-e-nā-kardā-kār ke
yuuñ dil ko chheḌ kar nigah-e-nāz jhuk ga.ī
chhup jaa.e koī jaise kisī ko pukār ke
siine ko apne apnā garebāñ banā ke ham
qaa.el nahīñ haiñ pairahan-e-tār-tār ke
kyā kījiye kashish hai kuchh aisī gunāh meñ
maiñ varna yuuñ fareb meñ aatā bahār ke
ik dil aur us pe hasrat-e-armāñ kā ye hujūm
kyā kyā karam haiñ mujh pe mire kard-gār ke
ham ko to roz-e-hashr kā bhī kuchh yaqīñ nahīñ
kyā muntazir huuñ vāda-e-fardā-e-yār ke
kis dil se terā shikva-e-bedād kar sakeñ
maare hue haiñ ham nigah-e-sharmsār ke