shikva ab gardish-e-ayyām kā karte kyuuñ ho
ḳhvāb dekhe the to ta.abīr se Darte kyuuñ ho
ḳhauf pādāsh kā lafzoñ meñ kahīñ chhuptā hai
zikr itnā rasan-o-dār kā karte kyuuñ ho
tum bhī the zuud yaqīnī ke to mujrim shāyad
saarā ilzām usī shaḳhs pe dharte kyuuñ ho
āfiyat kosh agar ho to burā kyā hai magar
rāh-e-pur-ḳhār-e-mohabbat se guzarte kyuuñ ho
jāñ-ba-lab ko nahīñ iifā kī tavaqqo.a ḳhud bhī
apne va.ade se bilā-vaj.h mukarte kyuuñ ho