Gopal Mittal

dil jalane se kahan dur andhera hoga

Gopal Mittal

Malerkotla, Punjab, India

1901-1993
dil jalāne se kahāñ duur añdherā hogā
raat ye vo hai ki mushkil se saverā hogā
kyuuñ na ab vaz-e-junūñ tark kareñ lauT chaleñ
us se aage jo hai jañgal vo ghanerā hogā
ye zarūrī to nahīñ itnā bhī ḳhush-fahm na ban
vo zamāna jo na merā hai na terā hogā
itnā bhī sañg-e-malāmat se Darā mat nāseh
sar salāmat hai to is shahr kā pherā hogā
ḳhidmat-e-rāj-mahal par unheñ dekhā māmūr
jo ye kahte the ki sardār baserā hogā
rāh-e-pur-pech ko sahl itnā batāne vaalā
rāhbar ho nahīñ saktā hai luTerā hogā
vo bhī insān hai ai dil use ilzām na de
jaane us ko bhī kin āfāt ne gherā hogā
Top Urdushayar.com