Gopal Mittal

swang ab tark-e-mohabbat ka rachaya jae

Gopal Mittal

Malerkotla, Punjab, India

1901-1993
svāñg ab tark-e-mohabbat kā rachāyā jaa.e
us ke pindār ko ā.īna dikhāyā jaa.e
vaz.a-dārī-e-mohabbat ke munāfī hai to ho
aaj collar pe nayā phuul sajāyā jaa.e
sher meñ tazkira-e-dasht-o-bayābāñ ho magar
ik baḌe shahr meñ ghar apnā basāyā jaa.e
balcony vo ka.ī din se hai vīrāñ yaaro
us galī meñ koī hañgāma uThāyā jaa.e
sar ye kahtā hai gavārā nahīñ ab bārish-e-sañg
dil ye kahtā hai usī kūche meñ jaayā jaa.e
ham hī pīchhe raheñ kyuuñ da.avā-e-jāñ-bāzī meñ
kyā zarūrī hai ki mar kar bhī dikhāyā jaa.e
shā.irī meñ na rahā jazba-o-ehsās ko daḳhl
ab use qaum kī ḳhidmat pe lagāyā jaa.e
Top Urdushayar.com