Raza Ashk

pachas salon mein do ek baras ka rishta tha

Raza Ashk

Samastipur, Bihar, India

1932
pachās sāloñ meñ do ik baras kā rishta thā
mirī vafā se tumhārī havas kā rishta thā
hamārā pyaar to thā chāñd aur chakore sā
tumhārā ishq hī gul se magas kā rishta thā
rah-e-hayāt kā maiñ aisā ik musāfir thā
ki jaise shahr kī saḌkoñ se bus kā rishta thā
sunā hai maiñ ne masājid ke un mināroñ se
manādiroñ ke in ūñche kalas kā rishta thā
taras rahe haiñ jo gulshan meñ āshiyānoñ ko
kal unhīñ murġh-e-chaman kā qafas se rishta thā
maiñ sochtā huuñ bhalā mere jasd-e-ḳhākī se
ai 'ashk' kyā mire tār-e-nafas kā rishta thā
Top Urdushayar.com