Raza Ashk

sawad-e-shahr mein thoDi si ye jo jannat hai

Raza Ashk

Samastipur, Bihar, India

1932
savād-e-shahr meñ thoḌī sī ye jo jannat hai
hamāre ahd ke namrūd kī virāsat hai
tamām mulk meñ us kī ġhazal kī shohrat hai
hamāre shahr meñ ik shaḳhs shād-o-hasrat hai
ġhazal ġhazal nahīñ fan kī aziim daulat hai
ye 'mīr'-o-'ġhālib'-o-'iqbāl' kī amānat hai
na mo.ajiza koī ilhām na risālat hai
yazīd-o-shimr haiñ lākhoñ ḳhudā kī qudrat hai
abhī hai der zarā dhuup ke utarne meñ
fasīl-e-shab se bhī ūñchī hisār-e-zulmat hai
ajiib vaqt hai ab dostoñ ke chāqū ko
mire qalam kī nahīñ uñgliyoñ kī hasrat hai
Top Urdushayar.com