ye jo dushman ġham-e-nihānī hai
ye bhī ik dost apnā jaanī hai
ġhāfil ham us se vo rahe ham se
umr-e-rafta kī qadr-dānī hai
qasr ta.amīr kar chuke haiñ bahut
manzil-e-gor ab banānī hai
jis kī ulfat meñ dil dhaḌaktā hai
ab talak us kī bad-gumānī hai
aur bhī ik ġhazal 'farāsū' paḌh
ab ye hañgāma-e-sher-ḳhvānī hai