Faizi Nizam Puri

gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua

Faizi Nizam Puri

ġham-e-jānāñ ke sivā kuchh hameñ pyārā na huā
ham kisī ke na hue koī hamārā na huā
kyā usī kā hai vafā nām-e-mohabbat hai yahī
mehrbāñ ham pe kabhī vo sitam-ārā na huā
laakh tūfān-e-havādis ne qadam thaam liye
merī ġhairat ko palaTnā bhī gavārā na huā
dil vahī dil hai haqīqat kī nazar meñ ai dil
sard jis dil meñ mohabbat kā sharārā na huā
DhūñDhtā aa.egā kal ahl-e-mohabbat ko yahī
ġham nahīñ aaj zamāna jo hamārā na huā
ahl-e-duniyā ne masarrat hī masarrat chāhī
ham ko is ġham ke sivā kuchh bhī gavārā na huā
jaan dī hai dil-e-ḳhuddār ne kis mushkil se
aaj bālīñ pe vo ḳhud-bīn-o-ḳhud-ārā na huā
aañkh sū-e-haram-o-dair kabhī uTh jaatī
ishq kī raah meñ ye bhī to gavārā na huā
ḳhaak chhānī chaman-o-dasht kī barsoñ 'faizī'
aah taskīn-e-nazar koī nazārā na huā
Top Urdushayar.com