Faizi Nizam Puri

koi tasawwur mein jalwa-gar hai bahaar dil mein sama rahi hai

Faizi Nizam Puri

koī tasavvur meñ jalva-gar hai bahār dil meñ samā rahī hai

nafas nafas gungunā rahā hai nazar nazar muskurā rahī hai

jhukī jhukī nigāh-e-qātil hazār ġhamze dikhā rahī hai

na jaane jaagā hai baḳht kis ye kis ko bismil banā rahī hai

nahīñ hai ab tāb-e-zabt baaqī kahīñ maiñ tauba na toḌ baiThūñ

tirā ishāra nahīñ ye saaqī to kyuuñ ghaTā muskurā rahī hai

na pūchh hālat marīz-e-ġham ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai

tabīb tashvīsh meñ paḌā hai qazā khaḌī muskurā rahī hai

mirī shab-e-ġham pūchhnā kyā ajiib pesh-e-nazar hai manzar

ye zindagī jhilmilā rahī hai ki niiñd tāroñ ko aa rahī hai

ye har adā pā.emāl ho kar bhī dil ko hai zauq-e-pā.emālī

qadam qadam par tirī javānī ajiib fitne jagā rahī hai

havā kuchh aisī chalī hai 'faizī' tamīz apnoñ ab hai mushkil

mirī tamannā bhī kuchh ḳhafā hai vafā bhī dāman chhuḌā rahī hai

Top Urdushayar.com