Faizi Nizam Puri

bala se barq ne phunka jo aashiyane ko

Faizi Nizam Puri

balā se barq ne phūñkā jo āshiyāne ko
chaman meñ kyā hai pata chal gayā zamāne ko
kisī kā dar jo milā to kisī ke ho ke rahe
kisī ke vāste Thukrā diyā zamāne ko
urūs-e-zīst unhīñ ko gale lagātī hai
jo daar par bhī sunāte haiñ haq zamāne ko
ḳhulūs-e-dil na ho shāmil to bandagī kyā hai
zamāna khel samajhtā hai sar jhukāne ko
ubhar rahī thī jahāñ se hayāt-e-nau kī kiran
bulā rahā thā usī samt maiñ zamāne ko
badal sako to badal do hayāt ke tevar
lab-e-hayāt taraste haiñ muskurāne ko
uThā.ūñ barq ke ehsān kis liye 'faizī'
maiñ ḳhud hī aag lagā duuñ na āshiyāne ko
Top Urdushayar.com