kuchh zindagī meñ lutf kā sāmāñ nahīñ rahā
dil aisā bujh gayā koī armāñ nahīñ rahā
vo josh-e-be-ḳhudī kā hai aalam ki āj-kal
zindāñ meñ ham nahīñ haiñ ki zindāñ nahīñ rahā
vo dil hī kyā ḳhalish hī na ho jis meñ dard kī
vo gul hī kyā jo zīnat-e-dāmāñ nahīñ rahā
har inqalāb vaqt ke sāñche meñ Dhal gayā
markaz pe apne ab koī insāñ nahīñ rahā
har ek apnā ḳhuun piye jā rahā hai aaj
insān is zamāne meñ insāñ nahīñ rahā
hotī hai ab tarannum-e-dilkash pe vaah vaah
bazm-e-suḳhan meñ koī suḳhan-dāñ nahīñ rahā
laayā hai us ko khīñch ke shauq-e-adab yahāñ
'faizī' kabhī bhī daad kā ḳhvāhāñ nahīñ rahā