Faizi Nizam Puri

phir zaban-e-ishq chashm-e-KHunfishan hone lagi

Faizi Nizam Puri

phir zabān-e-ishq chashm-e-ḳhūñfishāñ hone lagī
phir hadīs-e-dil sar-e-mahfil bayāñ hone lagī
phir kisī kī shoḳh nazroñ ne kiyā jhuk kar salām
phir mohabbat sāz-e-dil pe naġhma-ḳhvāñ hone lagī
phir kisī kī yaad aa.ī phir hue aañsū ravāñ
phir sitāroñ kī chamak dil par garāñ hone lagī
phir tasavvur meñ koī aane lagā hai bār-bār
phir mirī ummīd kī duniyā javāñ hone lagī
phir chaman meñ ġhuncha-e-nauras ne liiñ añgḌā.iyāñ
phir surūd-afzā bahār-e-gulistāñ hone lagī
phir pukārā chāñd-tāroñ ne mujhe shām-e-firāq
phir nigāh-e-shauq nazr-e-āsmāñ hone lagī
phir kisī kā dāman-e-rañgīñ hai merā haath hai
phir dil-e-pur-shauq kī hasrat ayaañ hone lagī
phir samāyā hai mirī nazroñ meñ vo māh-e-mubīñ
phir nigāh-e-dil javāb-e-āsmāñ hone lagī
phir ghaTā uThne lagī tauba ke phir laale paḌe
phir ḳhushāmad terī ai pīr-e-muġhāñ hone lagī
phir chalā dīvāna 'faizī' kū-e-jānāñ kī taraf
phir junūn-e-ishq kī hālat ayaañ hone lagī
Top Urdushayar.com