guloñ ke chehra-e-rañgīñ pe vo nikhār nahīñ
bahār aa.ī magar ālam-e-bahār nahīñ
jo haath aatā hai dāman to chhoḌ detā huuñ
junūñ-navāz abhī mausam-e-bahār nahīñ
kisī kī yaad kā aalam na pūchhiye mujh se
kabhī qarār hai dil ko kabhī qarār nahīñ
ye bāñkpan ye adā ye shabāb kā aalam
tum aa ga.e to kisī kā ab intizār nahīñ
bahār par bhī ḳhizāñ hī kā rañg ġhālib hai
havā zamāne kī gulshan ko sāzgār nahīñ
hamāre sāmne vo haiñ kahīñ ye ḳhvāb na ho
ab apnī āñkhoñ pe bhī ham ko e.atibār nahīñ
ḳhud aa ga.e haiñ simaT kar nigāh meñ jalve
visāl-e-dost hai ye rañj-e-intizār nahīñ
mirā mazāq uḌātā hai ā.īna lekin
mirī haqīqat-e-ġham us pe āshkār nahīñ
hamārī ābla-pā.ī kā faiz kyā kahiye
vo kaun sā hai bayābāñ jo lāla-zār nahīñ
butoñ ko puuj rahā hai tire tasavvur meñ
gunāh kar ke bhī 'faizī' gunāhgār nahīñ