Syed Ameer Hasan Marharvi Diler

izzat usi ki ahl-e-nazar ki nazar mein hai

Syed Ameer Hasan Marharvi Diler

izzat usī kī ahl-e-nazar kī nazar meñ hai
sab kuchh bashar meñ hai jo mohabbat bashar meñ hai
kyā pūchhte ho jauhar-e-teġh-e-nigāh-e-nāz
ye us se tez hai jo tumhārī kamar meñ hai
qāsid savāl-e-vasl suneñ aur vo chup raheñ
kyā kyā na shān-e-be-ḳhabarī is ḳhabar meñ hai
kyā jaane kis savāl kā bhejā hai ye javāb
ik tiir ik chhurī kaf-e-paiġhāmbar meñ hai
aur ek baar qalb ko taḌpā.e vo nigāh
itnī sakat abhī to hamāre jigar meñ hai
ai dil kisī kī yaad bhī aur iztirāb bhī
itnā nahīñ ḳhayāl ki mehmān ghar meñ hai
ghabrā.e kyuuñ na kashmakash-e-naz.a se 'diler'
pahlā ye ittifāq use umr bhar meñ hai
Top Urdushayar.com