tābānī-e-ruḳh le kar tum sāmne jab aa.e
mahsūs huā aisā ham chāñd se Takrā.e
barkhā kā ye mausam bhī kis darja suhānā hai
aahoñ kī idhar badlī zulfoñ ke udhar saa.e
āgāh na the pahle ham ishq kī rāhoñ se
phūloñ ke ishāroñ par kāñToñ meñ chale aa.e
hoñToñ ke tabassum par sau bijliyāñ raqsāñ haiñ
bikhrāte haiñ vo sho.ale dāman koī phailā.e
ālām-e-zamāna se badlā huuñ maiñ kis had tak
maiñ apne ko pahchānūñ ā.īna koī laa.e
ai dost mujhe tujh se ik daur kī nisbat hai
tārīk mirī rāteñ gesū tire kajlā.e
ye gul bhī haiñ dāġh-e-dil hai farq 'salām' itnā
kuchh rah ga.e gulshan meñ kuchh dil meñ chale aa.e