tarab-āfrīñ hai kitnā sar-e-shām ye nazārā
tire hoñT par shafaq hai mirī aañkh meñ sitārā
kiyā maiñ ne jab kisī ke ruḳh-o-zulf se kinārā
kabhī sub.h ne sadā dī kabhī shaam ne pukārā
gul-o-ġhuncha asl meñ haiñ tirī guftugū kī shakleñ
kabhī khul ke baat kah dī kabhī kar diyā ishārā
tirā naam le ke jaage tujhe yaad kar ke so.e
yuuñ hī saarī umr kaaTī yuuñ hī kar liyā guzārā
tujhe bāġhbāñ hai ḳhatra usī barq kī chamak se
kabhī tū ne ye na sochā ki hai gul bhī ik sharārā
ye adam vajūd kyā hai tirā naaz hai musavvir
kisī naqsh ko miTāyā kisī naqsh ko ubhārā
bhalā ham 'salām' āḳhir na asiir hoñge kab tak
ki jahāñ hai daam un kā vahīñ āshiyāñ hamārā