bū-e-gul bād-e-sabā laa.ī bahut der ke ba.ad
mere gulshan meñ bahār aa.ī bahut der ke ba.ad
chhup gayā chāñd to jalvoñ kī tamannā ubhrī
ārzūoñ ne lī añgḌā.ī bahut der ke ba.ad
nargisī āñkhoñ meñ ye ashk-e-nadāmat tauba
mauj-e-mai shīshoñ meñ lahrā.ī bahut der ke ba.ad
sehn-e-gulshan meñ hasīñ phuul khile the kab se
ham hue ḳhud hī tamāshā.ī bahut der ke ba.ad
mehr-o-shabnam meñ mulāqāt huī vaqt-e-sahar
zindagī maut se Takrā.ī bahut der ke ba.ad
mai-e-gul baT ga.ī āsūda laboñ meñ pahle
tishna kāmoñ meñ sharāb aa.ī bahut der ke ba.ad
zehn bhaTkā kiyā dasht-e-ġham-e-daurāñ meñ 'salām'
shab-e-ġham niiñd mujhe aa.ī bahut der ke ba.ad