us kī sūrat us kī āñkheñ us kā chehrā bhuul ga.e
jis raste par barsoñ bhaTke ham vo rastā bhuul ga.e
tez havā ke zālim jhoñke lamha lamha saath rahe
lamha lamha ik muddat tak dard jo uTThā bhuul ga.e
sahrā sahrā chalte chalte kuchh aise mānūs hue
apne apne shahar kā raahī gosha gosha bhuul ga.e
pagDanDī jo rañj-o-alam ko jaatī thī vo yaad nahīñ
ḳhushiyoñ kā bhī shīsh-mahal meñ ek thā Derā bhuul ga.e
kahte haiñ kuchh dost hamāre ham kaafī mutvāzin haiñ
is manzil tak aate aate jaane kyā kyā bhuul ga.e