Mohammad Saleem Sagar

wo aankh ajab rau mein baha le gai hum ko

Mohammad Saleem Sagar

vo aañkh ajab rau meñ bahā le ga.ī ham ko
ik mauj thī sāhil se uThā le ga.ī ham ko
kab shauq se jaatā hai koī rāh-e-junūñ par
vo to tirī nazroñ kī ḳhatā le ga.ī ham ko
is shahr meñ ham jurm-e-mohabbat ke liye aa.e
aur dasht meñ taqsīr-e-vafā le ga.ī ham ko
ham kaun qalandar the ki jā milte ḳhudā se
par ik but-e-kāfir kī duā le ga.ī ham ko
ik ziist hameñ jis ne kahīñ kā nahīñ rakkhā
ik maut ki siine se lagā le ga.ī ham ko
le jaatā thā har yaar hameñ apnā samajh kar
phir yuuñ huā ik roz qazā le ga.ī ham ko
ḳhushbū tire āñchal kī thī yā tere badan kī
sañg apne bahar-hāl uḌā le ga.ī ham ko
ham dil the aur ik dil ke liye aa.e the 'sāgar'
par mauj-e-ġham-e-dahr bahā le ga.ī ham ko
Top Urdushayar.com