darpan diyā huuñ dil kā maiñ us dilrubā ke haath
darpan meñ vo piyā hai vo darpan piyā ke haath
us qibla-rū kī dekh ke mehrāb-e-abr vaañ
saf bāñdh khul rahe haiñ mizha jiyūñ duā ke haath
har vaqt be-hijāb ho kyūñkar kare nigāh
hai iḳhtiyār chashm-e-piyā kā hayā ke haath
kis rañg suuñ lage hai kaf-e-pā kuuñ shoḳh kī
dil ḳhuun ho rahā hai hamārā hinā ke haath
gulgūñ qabā na maar taġhāful kī teġh suuñ
hai qatl āshiqāñ kā tirī yak adā ke haath
barjā hai barg-e-gul suuñ kafan us kuuñ hue nasīb
jo kui huā shahīd vo gul-gūñ qabā ke haath
hai chaak chaak ġhuncha-e-dil aaj aah suuñ
jyuuñ chāk-e-pairahan kuuñ kiyā gul sabā ke haath
kahte haiñ āshiqāñ yū mirā haal dekh kar
shāyad tuuñ dil diyā hai kisī bevafā ke haath
darkār niiñ hai mujh kuuñ kabūtar kī qāsidī
bhejā huuñ gul-badan kuuñ maiñ naama sabā ke haath