nigāh-e-yār suuñ hāsil hai mujh kuuñ mai-noshī
lab-e-ḳhamosh ne baḳhshā hai us ke ḳhāmoshī
bajā hai gar kare āshiq kuuñ ek daur meñ mast
hai jām-e-chashm-e-sanam meñ sharāb-e-be-hoshī
kiyā hai shoḳh ne bar meñ qabā-e-nāfarmāñ
uduul kyuuñ na kare va.ada-e-ham-āġhoshī
sajan ke nāvak-e-mizhgāñ ke dil meñ haibat rakh
kiyā hai maiñ ne ye dariyā mane zirah-poshī
kiyā nahīñ huuñ raqam ḳhat maiñ is sabab 'dā.ūd'
maiñ nāma-bar suuñ kahā huuñ ki raaz hai goshī