Daud Aurangabadi

teri ankhiyan ke tasawwur mein sada mastana hun

Daud Aurangabadi

terī añkhiyāñ ke tasavvur meñ sadā mastāna huuñ
dekh kar zanjīr tere zulf kī dīvāna huuñ
gaah sair-e-bostāñ kartā huuñ gaahe sair-e-bazm
gaah tere ishq meñ bulbul huuñ gah parvāna huuñ
gaah misl-e-barhaman huuñ ai sanam zunnār-band
haat meñ zāhid ke gaahe sub.ha-e-sad-dāna huuñ
kiyā huā gar hai dil-e-sad-chāk merā tīra-baḳht
husn kī zīnat huuñ tere surma huuñ gar shāna huuñ
jab suuñ hai us āshnā kī āshnā.ī kā ḳhayāl
niiñ rahā huuñ aap meñ, maiñ aap suuñ begāna huuñ
gosh rakh merā suḳhan suntā hai har ahl-e-suḳhan
jab suuñ maiñ bahr-e-suḳhan kī siip kā durdāna huuñ
hai azal suuñ jalva-pairā dil meñ hubb-e-murtazā
is sabab 'dā.ūd' daa.em dushman-e-but-ḳhāna huuñ
Top Urdushayar.com