Daud Aurangabadi

mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal

Daud Aurangabadi

mujh saath sair-e-bāġh kuuñ ai nau-bahār chal
bulbul hai intizār meñ ai gul-izār chal
karne kuuñ qatl āshiq-e-jāñ-bāz ke sanam
le teġh-e-nāz haath kamar rakh kaTār chal
karne nazāra baaġh kā niklā hai gul-badan
barjā hai har chaman suuñ gar aave bahār chal
us gul-badan suuñ zauq ham-āġhosh hai agar
ho chaak siina gul ke naman ban ke haar chal
us sham.a-rū ke vasl kā gar tujh kuuñ shauq hai
mahfil meñ āshiqāñ kī ho parvāna-vār chal
āḳhir asīr-e-umr kā hai is jahāñ suuñ kuuch
is vāste hai dam kī jaras meñ pukār chal
gar azm hai buzurgī is aalam meñ hue husūl
a.amāl-nāma jag meñ apas kā sañvār chal
gar yaar ke hai vasl kī ne.amat kī ishtihā
har shai suuñ rah uu paas vahāñ lag nahār chal
avval ḳhudī ke ghar kuuñ ai 'dā.ūd' toḌ saT
mai-ḳhāna-e-visāl meñ tab sidh-bisār chal
Top Urdushayar.com