Daud Aurangabadi

jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya

Daud Aurangabadi

jab vo mah-e-ruḳhsār yakāyak nazar aayā
us maah kī tal.at suuñ suraj dil meñ dar aayā
tere ruḳh-e-raushan kuuñ siyah ḳhat meñ sirījan
dekhā so kahā abr-e-siyah meñ qamar aayā
gulshan meñ chal ai sarv-e-sahī sair kī ḳhātir
tujh vāste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aayā
tujh jām-e-nayan meñ hai ajab bāda-e-sarshār
yak diid satī jis ke ho dil be-ḳhabar aayā
muhtāj-e-kabūtar nahīñ mujh shauq kā naama
qāsid ho mirā dil le sajan kī ḳhabar aayā
kahte haiñ sab ahl-e-suḳhan is sher kuuñ sun kar
tujh tab.a meñ 'dā.ūd' 'valī' kā asar aayā
Top Urdushayar.com