ishq ne tujh ḳhaal ke mujh kuuñ ḳhayālī kiyā
dil kuuñ ḳhayālāt suuñ ġhair ke ḳhālī kiyā
fikr pahuñchtī nahīñ misra-e-sānī kahūñ
haq ne tere qad ke ta.iiñ misra-e-ālī kiyā
hijr meñ jāgīr-e-aish-e-majnūñ huī thī taġhayyur
vasl ke dīvān ne phir ke bahālī kiyā
gulshan-e-ishrat kā vo kyuuñ na nazāra kare
tujh chaman-e-husn kā dil kuuñ jo maalī kiyā
bosa use de javāb yū hai jo ab savāb
tujh añge 'dā.ūd' ne lab kuuñ savālī kiyā