le dām-e-nigāh-e-yār aayā
karne kuuñ mujhe shikār aayā
kyuuñ aave na mujh badan suuñ ḳhush baas
mujh bar meñ vo gul-izār aayā
ḳhat dekh tere ruḳh uupar āġhāz
ā.īna uupar ġhubār aayā
jis baaj thī dil kuuñ be-qarārī
vo dil kā mire qarār aayā
zāhid ne apas kā zohd taqvā
kūche meñ tere bisār aayā
niklā hai raqīb-e-gul-badan saat
le gul kī panāh ḳhaar aayā
mujh parda-e-dil pe saaz kar ġham
ho naala merā sitār aayā
shabnam nahīñ har sahar ai 'dā.ūd'
tujh ġham suuñ gul-e-ashk-bār aayā