ḳhirqa-poshī meñ ḳhud-numā.ī hai
haath bas kāsa-e-gadā.ī hai
boriyā bhī nahīñ use darkār
jis ke ta.iiñ shauq-e-be-riyā.ī hai
gul sab hañste haiñ bazm-e-gulshan meñ
ishq-e-bulbul magar riyā.ī hai
jald jaatī hai āsmāñ uupar
aah merī ajab havā.ī hai
sham-e-mīnā ke nuur suuñ saaqī
mahfil dil meñ raushnā.ī hai
har ghaḌī dekhtā hai darpan kuuñ
shoḳh meñ tarz-e-ḳhud-numā.ī hai
jab suuñ dekhā huuñ us kī zulf-e-darāz
tab suuñ mujh fikr meñ rasā.ī hai
kaañ u dekhā hai ḳhvāb meñ maḳhmal
tujh kaf-e-pā meñ jo safā.ī hai
kyuuñ na hue māh-e-nau misāl-e-azīz
jis mane rasm-e-kam-numā.ī hai
dast-e-gul-rū meñ pahuñchne 'dā.ūd'
kāġhaz-e-ḳhat mirā hinā.ī hai