Daud Aurangabadi

agar wo gul-badan mujh pas ho jawe to kya howe

Daud Aurangabadi

agar vo gul-badan mujh paas ho jaave to kyā hove
zamīn-e-dil meñ tuḳhm-e-ishq bo jaave to kyā hove
sanam tujh zulf ke zunnār ke rishte meñ aa zāhid
apas ke sub.ha-gardānī kuuñ kho jaave to kyā hove
pilā jām-e-sharāb-e-aish vo sāqī-e-bazm-ārā
ġhubār-e-ġham kuuñ lauh-e-dil suuñ ho jaave to kyā hove
bayāñ kartā huuñ maiñ tujh zulf-e-mushkīñ kā sanam nis din
ḳhutan meñ gar suḳhan mere kī bū jaave to kyā hove
sadā mashq-e-junūn-e-ishq meñ rahtā hai saudā.ī
agar 'dā.ūd' kī yū zisht-ḳhū jaave to kyā hove
Top Urdushayar.com