aaj badlī hai havā saaqī pilā jām-e-sharāb
bars kaalī va.ada jaate haiñ baras kaale sahāb
aarsī suuñ ab sharāb-e-nāb khīñchā chāhiye
niiñd suuñ uTh yaar ne dekhā hai chashm-e-nīm-ḳhvāb
saaf dil ho gar hai tujh kuuñ ḳhvāhish-e-tark-e-havā
āb-e-ā.īna upar aatā nahīñ hargiz habāb
sūrat-e-mahtāb ro zāhir hai mere ashk suuñ
jalva-gar jiyūñ āb-e-dariyā meñ hai aks-e-māhtāb
har kitāb-e-sohbat-e-rañgīñ ke ma.anī dekh kar
fard-e-tanhā.ī ke mazmūñ kuuñ kiyā huuñ intiḳhāb
sāhab-e-ma.anī kiyā hai haq mujhe roz-e-binā
postīñ jaama hai mere bar mane misl-e-kitāb
ḳhema-e-gul baaġh meñ barpā hai ai 'dā.ūd' aaj
tan rahī hai dekh kyā āvāz-e-bulbul kī tanāb