fariyād sadā-e-nafas āvāz-e-jaras hai
kyā qāfila-e-umr kuuñ chalne kā havas hai
jo sāf-dil hai us meñ kudūrat kā asar niiñ
har-chand agar dushman-e-ā.īna nafas hai
letā huuñ apas madrasa-e-dil meñ sabaq maiñ
us shoḳh murdarris kā vahāñ jab suuñ daras hai
yak lamha na ho mujh suuñ judā ai mah-e-tābāñ
har aan tire hijr kā mujh haq meñ baras hai
'dā.ūd' na kar pursish-e-mahshar satī kuchh ḳhauf
vaañ āl-e-mohammad kī shafā.at tujhe bas hai