zindagī aisī sazā hai ki sazā bhī to nahīñ
dil dhaḌaktā hai dhaḌakne kī sadā bhī to nahīñ
kyā ḳhadd-o-ḳhāl the kuchh yaad rahā bhī to nahīñ
aisā bachhḌā koī muddat se milā bhī to nahīñ
āhaTeñ kyā tire qadmoñ kī sunā.ī deñgī
ab ki pahlū meñ dil naġhma-sarā bhī to nahīñ
rah-e-ishq bhaTak hī na sakīñ
itne tābinda nuqūsh-e-kaf-e-pā bhī to nahīñ
yuuñ tirī yaad meñ ik umr guzārī ki mujhe
apnī tanhā.ī kā ehsās huā bhī to nahīñ
kis ko rūdād-e-ġham-e-ishq sunā.ī jaa.e
dasht meñ aur koī ābla-pā bhī to nahīñ
ek muddat se koī zaḳhm-e-dil-o-jān 'nashtar'
be-niyāz-e-karam mauj-e-sabā bhī to nahīñ