Shakeel Nashtar

bujhe bujhe hue dagh-e-jigar ki baat na kar

Shakeel Nashtar

bujhe bujhe hue dāġh-e-jigar kī baat na kar
bhaḌak uThegā ye sho.ala sahar kī baat na kar
bas ek baar mohabbat se dekhne vaale
ye vo karam hai ki bār-e-digar kī baat na kar
taras na jaa.eñ kahīñ rañg-o-bū ko ahl-e-chaman
guloñ ko dekh ke zaḳhm-e-jigar kī baat na kar
matā-e-dard baḌhā aur muskurā.e jā
shab-e-firāq numūd-e-sahar kī baat na kar
nayā nahīñ hai ye hañgāma ahl-e-dil ke liye
sukūt-e-ā.ina-e-ḳhud-naigar kī baat na kar
kahāñ kahāñ se guzarnā hai be-niyāzāna
nazar se dekh shu.ūr-e-nazar kī baat na kar
ye phuul haiñ mire 'nashtar' jigar ke daaġh nahīñ
fareb-ḳhurda-e-shabnam guhar kī baat na kar
Top Urdushayar.com