hādsoñ hī meñ zindagī jī hai
ham ne qistoñ meñ ḳhud-kushī kī hai
jhuk ke jiinā hameñ nahīñ aatā
aur āvāz bhī kuchh ūñchī hai
aap se kuchh gilā nahīñ sāhab
apnī taqdīr hī kuchh aisī hai
sher paḌhnā yahāñ sambhal ke miyāñ
aur bastī nahīñ ye dillī hai
chehra us kā kitāb jaisā hai
aur rañgat gulāb kī sī hai
ham ne 'rahmat;' ġhazal ke lahje meñ
'mīr'-sāhib se guftugū kī hai