ārzūoñ kā nagar chhoḌ aa.e
naaz thā jis pe vo ghar chhoḌ aa.e
ik tirī yaad bachā kar rakh lī
saarā sāmān-e-safar chhoḌ aa.e
muddatoñ yaad rakhegī duniyā
ham bhī ik aisā hunar chhoḌ aa.e
ghar ke bāhar bhī udāsī na ga.ī
ghar se ghabrā ke jo ghar chhoḌ aa.e
thak ga.e jab koī khiḌkī na khulī
ham vahīñ dīda-e-tar chhoḌ aa.e
us ko aate hī banegī 'rahmat'
aaj ik aisī ḳhabar chhoḌ aa.e