'mīr' kī sādgī bayān meñ rakh
'dāġh' kī dil-kashī zabān meñ rakh
dūsroñ ko bhī raushnī pahuñche
yuuñ diyā ghar ke darmiyān meñ rakh
amn aur sulh-o-āshtī kyā hai
ye savālāt imtihān meñ rakh
apne purkhoñ ke kārnāmoñ ke
kuchh havāle bhī dāstān meñ rakh
nekiyāñ ab na Daal dariyā meñ
ham faqīroñ kī baat dhyān meñ rakh
dhuup hī ab tujhe jagā.egī
koī khiḌkī khulī makān meñ rakh