tohmat-e-ishq jab uThā lī hai
phir kyuuñ insāf kā savālī hai
aaj maiñ ḳhud se bahs kartī rahī
aur ab merā zehn ḳhālī hai
terā koī na thā misāliya yaar
bevafā.ī bhī to misālī hai
hāfiza maiñ ne aaj jaane diyā
ik tirī yaad hī bachā lī hai
ham haiñ ikkīsvīñ sadī ke log
ham ne ḳhud meñ jagah banā lī hai
'bushrā' ḳhud hī dukhāyā dil apnā
apne hī dil se phir duā lī hai