dasht ham tujh se ta.alluq ko nibhāte kaise
ham bhalā un kī galī chhoḌ ke jaate kaise
un kī āñkhoñ meñ koī aur basā thā shāyad
ham se vo nazreñ milāte to milāte kaise
un ke chehre pe kisī aur kā haq thā shāyad
ham to qadmoñ se tavajjoh ko haTāte kaise
merī hī jaan kā vo maan se haq māñgtā thā
paglā yaar thā vo jaan bachāte kaise
us ne pūchhā hī na thā kaun haiñ kyuuñ aa.e haiñ
ham bhī ḳhuddār the phir haal sunāte kaise
'bushrā' ham apne kiye par bhī na pachhtā paa.e
dil ko be-faiz zamāne meñ lagāte kaise