kināre dariyā kī vus.at kā dhyān hote haiñ
ziyāda pyaar se ham bad-gumān hote haiñ
hameñ batāyā gayā thā ki vo hī manzil haiñ
ham aise log ki jo be-nishān hote haiñ
ye pyaar ruuh kā saaya dikhānā jāntā hai
jo lafz hote nahīñ vo bayān hote haiñ
ye ham jo kahte haiñ tum ho to sab hamārā hai
zarūrateñ nahīñ hotīñ ye maan hote haiñ
mohabbatoñ meñ zabāneñ nahīñ khulā kartīñ
jo pyaar karte haiñ vo be-zabān hote haiñ