Bushra Bakhtiyar Khan

shahr ke shahr basate hue mar jate hain

Bushra Bakhtiyar Khan

shahr ke shahr basāte hue mar jaate haiñ
kār-e-duniyā ko chalāte hue mar jaate haiñ
log bichhḌeñ to basā lete haiñ duniyā phir se
ham to bas haath chhuḌāte hue mar jaate haiñ
jab se tū raah kī dīvār samajhtā hai hameñ
ham tirī raah meñ aate hue mar jaate haiñ
chand chehroñ ke liye diid bachā rakkhī thī
ab to ham palkeñ bichhāte hue mar jaate haiñ
jo tire naam se ash.ār kahe the ham ne
ham vo ash.ār sunāte hue mar jaate haiñ
vo samajhte haiñ ki ham āñkhoñ meñ gum haiñ 'bushrā'
un se ham nazreñ milāte hue mar jaate haiñ
Top Urdushayar.com