zindagī ishq ke maz.hab meñ bitānā chāheñ
ham tire saath kabhī chāñd pe jaanā chāheñ
ham qavānīn-e-mohabbat meñ tujhe le aa.eñ
ham tire naam kā ik mulk basānā chāheñ
ham ye chāheñ ki tire husn ke parde kholeñ
ham tire ḳhvāb farishtoñ ko dikhānā chāheñ
us kī āñkhoñ meñ basar karte raheñ umr ke ḳhvāb
us kī sāñsoñ se hī ab saañs baḌhānā chāheñ
jānte haiñ ki use dekh ke mar jā.eñge
phir bhī us shaḳhs se ham aañkh milānā chāheñ
vo jo ik jaan kā dushman hai usī ko 'bushrā'
apnī ye umr bhī ab us ko lagānā chāheñ