Bushra Bakhtiyar Khan

zamin bech ke tare basana chahte hain

Bushra Bakhtiyar Khan

zamīn bech ke taare basānā chāhte haiñ
ye kaun log ḳhalāoñ meñ jaanā chāhte haiñ
kabhī vo sher kahā kartā thā hamāre liye
ham us ke sher usī ko sunānā chāhte haiñ
vo chāhe jhuuT meñ iqrār to kare ik baar
ham us ke jhuuT pe īmān laanā chāhte haiñ
ham us kī aañkh meñ rah kar bhī āñsuoñ meñ rahe
jise ham apnī ragoñ meñ samānā chāhte haiñ
hameñ ḳhabar hai ye duniyā tabāh kar deñge
ham aise logoñ kā shajara batānā chāhte haiñ
ye dost dost nahīñ haiñ ye dil ke kaale log
munāfiqīn hameñ āzmānā chāhte haiñ
hamāre naam pe sāñsoñ ko thāmne vaale
hamāre ḳhvāb bhī 'bushrā' bhulānā chāhte haiñ
Top Urdushayar.com