tumhāre hoñToñ pe bas merā naam zinda rahe
tumhāre saath bitā.ī ye shaam zinda rahe
ḳhudā kare ki ye niyyat hī kaam aa jaa.e
havāla ho yā na ho merā kaam zinda rahe
mujhe davām kī chāhat nahīñ magar ai ḳhudā
maiñ chāhtī huuñ ki merā kalām zinda rahe
ajiib Dhañg kī ye chaal chal gayā hai koī
ki bādshāh na ho aur ġhulām zinda rahe
mirī ġhazal ke sab ash.ār chāhe rad ho jaa.eñ
magar imaam pe merā salām zinda rahe
zamāne bhar kā mujhe hosh tak na ho 'bushrā'
tumhārī yaad kā bas ek jaam zinda rahe