adāvatoñ se mohabbat kā ġham nikālte haiñ
ham apne dil ko bhī marzī se kab uchhālte haiñ
ye puurī duniyā hī behosh ho ga.ī hai bhalā
hameñ ḳhabar hī nahīñ kis ko kab sambhālte haiñ
jahāñ jahāñ bhī zarūrat paḌī mohabbat kī
ham apne ḳhuun ko paikar meñ bhar hī Dhālte haiñ
ḳhud aise dost rakkhe haiñ ki jo vafā na kareñ
ham apne shauq se zahrīle saañp pālte haiñ
ye mai-kade kī rivāyat ajab lagī 'bushrā'
jo girne lagtā hai us ko nahīñ sambhālte haiñ