Wasif Dehlvi

izzat unhen mili wahi aaKHir baDe rahe

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
izzat unheñ milī vahī āḳhir baḌe rahe
jo ḳhaak ho ke aap ke dar par paḌe rahe
ai dost muġhtanim haiñ vo murādān-e-bā-vaqār
usrat meñ bhī jo aan pe apnī aḌe rahe
pāyāb ho ke sail ne un ke qadam liye
mañjdhār meñ jo paañv jamā.e khaḌe rahe
paḌtī nahīñ har ek pe us kī nigāh-e-nāz
saaqī ke āstāñ pe hazāroñ paḌe rahe
apnoñ kī talḳh-goī kī lazzat na pūchhiye
bhāle se umr bhar rag-e-jāñ meñ gaḌe rahe
mānind-e-sañg-e-mīl dikhā.ī har ik ko raah
lekin ḳhud apne paañv zamīñ meñ gaḌe rahe
zālim se ek bose pe barsoñ rahī hai zid
āḳhir tak apnī baat pe ham bhī aḌe rahe
shāyad ki multafit ho koī shahsavār-e-nāz
kis aarzū se ham sar-e-manzil khaḌe rahe
fitne bahut haiñ but-kada o ḳhānqāh meñ
achchhe rahe jo dasht-e-junūñ meñ paḌe rahe
'vāsif' kā intizār thā sahrā meñ bād-e-qais
kāñTe bhī muddatoñ yūñhī pyāse paḌe rahe
Top Urdushayar.com