Wasif Dehlvi

kisi ke ishq ka ye mustaqil aazar kya kahna

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
kisī ke ishq kā ye mustaqil āzār kyā kahnā
mubārak ho dil-mahzūñ tirā īsār kyā kahnā
na karte iltijā dīdār kī muusā to kyā karte
chalā aatā hai kab se vāda-e-dīdār kyā kahnā
vahī kartā huuñ jo kuchh likh chuke mere muqaddar meñ
magar phir bhī huuñ apne fel kā muḳhtār kyā kahnā
qadam uThte hī dil par ik qayāmat biit jaatī hai
dam-e-gulgasht us kī shoḳhi-e-raftār kyā kahnā
shab-e-hijrāñ pe merī rashk aatā hai sitāroñ ko
bharam tujh se hai merā dīda-e-bedār kyā kahnā
tire naġhmoñ se 'vāsif' ahl-e-dil masrūr hote haiñ
ba-īñ afsurdagī rañgīni-e-guftār kyā kahnā
Top Urdushayar.com