khulne hī lage un par asrār-e-shabāb āḳhir
aane hī lagā ham se ab un ko hijāb āḳhir
tāmīl-e-kitāb avval tāvīl-e-kitāb āḳhir
tadbīr o amal avval taqrīr o ḳhitāb āḳhir
is ḳhaak ke putle kī kyā ḳhuub kahānī hai
masjūd-e-malak avval rusvā o ḳharāb āḳhir
go ḳhud vo nahīñ karte baḳhshish meñ hisāb avval
denā hai magar ham ko ik roz hisāb āḳhir
dīdār se pahle hī kyā haal huā dil kā
kyā hogā jo ulTeñge vo ruḳh se naqāb āḳhir
mahrūm ne rah jaanā kotāhi-e-himmat se
hone ko hai ai 'vāsif' ye bazm-e-sharāb āḳhir